Dekha jo mera haal, woh hakeem haske bola,
badrang chehra, sooni ankhen,
sab kuch toh hai, phir myus kyun ho,
jao jama lo,mehfil purane yaroon ke saath,
thodi se doori, apno se bhi jaroori hai,
tumhare dard ki dawa, woh kambhakt dosh hi hain,
dosto se vasta rakha karo janab,
yeh woh jaalim hai, jo apni juban ke kodon se
har dard ka ilaaz kiya karte hai
umar ki yeh libaz woh tumse pal me juda karte hai,
dosto ke beech main bhala koi kabhi buzurg hua karte hai,
mohatarmayein amdani puchti hai, bacche wasiyat puchte hai,
daftar main ab dost kahan hai, har koi apne kaam main rawaa hai,
mehaz zuban se haal chaal, woh bhi puch lete hain,
par kaifiyat koi puche, aisa sacha dost kaha hai,
yun toh hazaron log milte hai is duniya main,
par sach pucho toh kisi ko kisi ke khabar hi kahan hai,
rishte aksar haisiyat puch liya karte hai,
woh dost hi hai, jo bewajah hi apki khairiyat puch liya karte hai,
Kaise ho kamine, kahan paye jate ho aajkal, yeh dost hi puchte hai..
Dosto se Rishta Rakha karo, Doston
Yeh woh jadugar hai
jo saalon ke gamon ko, pal main fanaa karte hai,
samay ko piche chod, milon ka safar shan main tay karte hai
Joh Umra Jaisi Cheez ko bhi, pal main door kar dete hai,
Yeh kambakhat dost kabhi budha nahi hone dete,
Choti Moti Killaton Ki bhi, inke age kya bisaat yahaan,
Gar, apke kareebi dost harpal apke saath hai.
- Dedicated to World's Every True Friend
Inspired from a Unknown Poet
From the collection of UrHarry

No comments:
Post a Comment