Friday, April 10, 2020

Yeh Hasraton ki Daud, Na Jane Kahan Le Jayegi....


Yeh Kaisi Aag si Lagi hai,
tarakki ke naam pe,
kyon bhookh si mit ti nahi
kuch alag azmane ke naam pe

dono hathon se bator raha hai,
har shaqs yahan par
phir bhi adhuri si kyun,
har jeevan ki pyaas hai

hastshape sa hai har shetra main
bhula hua hai kyon har maryada admi
kyun ek jahan ki ibadat main,
dusri duniya darkinaar hai

kyoon na kuch aisa ho jaye,
jo sabke hit main ho aur phir se ek karwan banjaye,
kyon koi aisa rasta nahi ho sakta, is jahan main
jisme woh bhi muskuraye, aur tu bhi pahunch jaye apne mukam pe

yeh kaisi kas-m-kash si hai
bas aage daudne ke naam pe
tod ke asli dilo se rishte,
bus juda hai, opcharikta ke naam pe,

Na Khud se saccha, aur na kisi kaam ke
nirantar badha chala ja raha hai,
bhog vilas ke  ayaam pe...

woh pidhiyon ka bandovast kar raha
kal ke thikone ke astitva se anjaan hoke
sekdon dosho aur papo se lipt woh
koi toh roke, is kal ke mehman ko

Hasraton ki is daud main
yeh najane kahan tak jayega,
ped paudhe panchiyon ke ashiyano ko chhin...
aur kitna tadpayega,
yeh dhara jitne teri hai, there utni hi hai unki bhi

Khuda hi jane, Kya intaha hogi, is junnon-e-jasbaat ki
ab toh har chiz main dikhne lagi hai, dushmani halaat ki,
na khushi ka alam hai, na marham-e-ehsaas hai,
dil se be-ilm hoke jo tu bekhabar chala, ab teri rahien gumrah hai

isse pehle ki, bagawat ki mahek bhar jaye is hawa main,
Aur safari dua be-asar jo-aye, har insan ki,
tujhe jald sambhalna hoga, chal kar har kisi ke saath main

Ab toh, waqt bhi rawaan ho raha hai, phir na ayega yeh mukaddas samne,
ek bar azma ke toh dekh, kya sukoon hai, chalna apno ke saath main
na kuch tune banaya, na kuch maine banaya,
Kyun na dono khush ho jayein, issi andaz-e-bayaan main....

reh jayenge mahaz woh kagaz ke tukde,
jab kuch bacha hi nahi, na hawa, na matti aur na paani tere samne....


Yeh Hasraton ki Daud, Aur Na Jane Kahan Le Jayegi....


From the collection of urHarry :- On the Human Pace towards exploiting own people, nature & earth

No comments:

Post a Comment