kabhi socha na tha aise bhi din ayenge
fursat bhi hogi
par jashn mana na payenge
chuttiyan to hogi
par mana nahi payenga
ice cream ka mausam bhi hoga
par kha nahi payenga
hot summer bhi hoga
par chilled wali CHEERS na kar payenga
raste khule honge
pak kahin ja nahi payenga
jo dor hai
unhe apne paas bula nahi payenge
jo paas hai
unse gale bhi na mil payenge
jo ghar lautne ke rah dekhte hai
woh ghar main hi band ho jayenge
kya hai tarik kaun sa hai war
yeh bhi bhul jayenge
calendar kuch arse ke liye bekar ho jayenge
saaf ho jayegi hawa
par chain ki saas na le payenge
nahi dikhegi koi muskurahat
chehre sare mask se jo dhak jayenge
jo khud ko samajhte the badshah
aaj woh bhi madad ke liye haath phailayenge
socha na tha,
aise bhi din ayenge
Inspired but True on Covid 19
From the Collection of UrHarry
No comments:
Post a Comment