Tuesday, October 13, 2020

Insaan toh bimar ho hi chuka hai, bus kehne ko namo nishan hi baaki hai...

 Andar ka Insaan toh khatm ho hi chuka hai

tum mare hue ko aur aur kya maroge

prakriti se kafi pehle bichad chuka hai

ab is bezan zameen se aur kya ukhadoge


koi ac ke bina, toh koi daru ke bina,

koi nashe se trast, toh koi khoon kharabe main,

kisi ko kursi ka toh, koi dharm pe ada hai

dekh lo jo yeh halat hai,

yeh sab us chain ki kadi nahi, to aur kya hai


Insaan toh bimar ho hi chuka hai

mare hue tum aur kya maroge


kisiki khushi marke, apna sukh dhundta hua

kisi ko badhta dekh, bewajah tokta hua

kamyabi se kisi ki, har waqt sulagta hua,

yeh andar hi andar badte rog ka

nishaan nahi to aur kya hai


Insaan toh pehle hi khatm ho hi chuka hai

tum mare hue ko aur kya maroge


chote chote rog bhi, ab sab par havi ho rahe

dheere dheere apni shamta vikaron ke age kho rahe

chahe matti, chahe pani, 

phir chahe hawa ho, ya koi anya prakarti se ho chedkhani,

baki jivo ko apna sampada samajhna, aur karna unki hani 

yeh aur pareshani ka karan nahin toh kya hai



andar se jo ye lagbhag mar hi gaya hai,

bus is deh ka vinaash baaki hai

Insaan toh bimar ho hi chuka hai

bus kehne ko namo nishan hi baaki hai...


urHarry Collection

No comments:

Post a Comment